Wo chaar deewar
Chaar diwaro ke andar hua mera janam,
Char diwaro ke andar sikha mene chalna,
Din se hafte, hafto se mahine, mahino se saal,
Bitate bitate khud ko sambhala hai mene inn char diwaro ke andar.
Khud ke khayalo ko, khud ke soch ko,
Ubhara hai mene
Inn Chaar diwaro ke andar.
Kehete hai zindagi jine ke liye
hume is duniya ke soch se chalna zaruri hai
Par iss duniya ki rit se alag
Iss duniya ke bhaw se alag,
Khud ko sawara hai mene
Inn chaar diwaro ke anadar.
No comments:
Post a Comment